FARAZ…
Friday, November 28th, 2008->
abb kay dhoondtay ho jaly hoay kagzoon ki rakh
main FARAZ…
wo jis ka unwan tum thay wo afsana he jaal gaya..!!!
->
abb kay dhoondtay ho jaly hoay kagzoon ki rakh
main FARAZ…
wo jis ka unwan tum thay wo afsana he jaal gaya..!!!
wo zalim jo dil main reh kar b mera na
ban saka”FARAZ”
aurĀ dil wo kafir jo mjh main reh kar
bhi tera ho gaya..!!!
“woh kehti hay
batao be sabab kyon roth jaty ho?
main kehta hoon
zara mujh ko manao acha lagta hay
woh kehti hay
mera dil tum say aakhir kyon nahin bharta
main kehta hoon
muhabat ki koi haad hi nahin hoti
woh kehti hay
batao…. main tumhain kyon bhagiya hon
main kehta hon
meri jaan hadsay to ho hi jaty hain
woh kehti hay
achanak main tumhain yoon hi rula don to
main kehta hon
mujhay dar hay kay tu bhi bheeg jai gi
woh kehti hay
batao…. barish ki kiya haqiqat hay
main kehta hon
kay yeh to badalon ki aankh roti hay
woh kehti hay
tumhary khawab sary kyon adhoray hain
main kehta hon
meri jaan tum inhain takmeel day do”
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho
hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut
Tum apney apney lagtey ho
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana
yeh kiss uljhan mein rehtey ho?
Kiya baat hai hum se keh daalo
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
uthana khud he parta hai,thaka hua jism apna,
kay saans ruknay say pehlay koi kandha nai daita…