Archive for the ‘Romantic Sms’ Category

waqt ke dariya

Friday, June 27th, 2008

waqt ke dariya ke hawale na karo mujhe
apne aagosh me chupalo mujhe…
girte rahe hum kadam kadam par
deke apne bahon ka sahara sambhalo mujhe…
teri har yaad judi hai meri sanso k sang
tera ehasaas kahi na maar dale mujhe…
kismat ki lakeeron se churalo mujhe..
tham lo hath aur apnalo mujhe…

bazam main mila gulbadan sa tha

Friday, June 27th, 2008

Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thai Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay Tu Bool Paray Uss Kay Khud o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lag’ta Tha Mut’mayeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

SOocha Ussay Tu Mein Kaiee Rungoon mein Khoo Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payr’han Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha

Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha

Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha Iss Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha

Woh Guftagoo Thee Uss Ke, Ussi Kay Liyeah Hee Thee!
Kehnay Ko Youn Tu Mein Bhi Shareek e Sukhan saa Thai

Taray Thai Chandini mein Keh Tuhmat Kay Daagh Thai
Mohsin Kal Asmaan Bhi Mairay Kafaan Sa Tha,,

bohat kuch badal jata hai

Friday, June 27th, 2008

Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad

zindagi main kuch sapne

Friday, June 27th, 2008

Zindagi mein kuch sapne saja lena,
Agar waqt mile to kuch armaan jaga lena,
Hum aap ki raahon se sab Dard chupa leinge,
Jab chahe aazmaa lena.

shehray wafa

Friday, June 27th, 2008

Hum khushbu kay sodagar hain
Hum soda sacha kartay hain
Jo ghahak pholoon jaisa ho
Hum bin damoon bik jatay hain
Hum shehray wafa kay logoon ka
Tum bhala hal kya janoo
Hum dil ki baat chupatay hain
Aur ansoo tak pee jatay hain